I Met Her Again Lyrics by Maan Panu
Main unse mila sau raaton mein
Unn sawan ki barsaaton mein
Vo keh na chahte the shayad kuch
Main dekh na paya aankhon mein
Vo leke aaye the paimana
Naapne mere dard yahan
Dekh ke mujhko hasta hua
Vo laut gaye phir jaane kahan
Hum bhi apne shehzaade hain
Humein khwaab waab nahi aate hain
Hum bhul gaye hai sara kuch
Ab yahin humari baatein hai
Ab bharne lage zakham hain
Aur zinda yeh kalam hai
Aur likhne wale hum hain haan ji haan
Har koi ab sanam hai
Aur dard bhi thode kam hain
Ab rotey nahin hum hai haan ji haan
Hmmm hmmm hmmm hmm x2
Ab mann ye mauj mein rehta hai
Tujhe dekhne ki ab aadat nahi
Koi humein ghamzada kar jaye
Duniya mein aisi aafat nahi
Ye jhumke kangan kajal gajra
Rahe mere kisi kaam ke nahi
Main phool dekh ke hi khush hoon
Kisi noor ki mujhko chahat nahin
Hum nahi ab tere mohtaj hai
Tanha hum nahi zamana yeh sath hai
Vo leke aaye the maikhana
Karne humein madhosh yahan
Dekh ke haath mein shama mere
Woh laut gaye phir jaane kahan
Vo leke aaye the paimana
Naapne mere dard yahan
Dekh ke mujhko hasta hua
Woh laut gaye phir jaane kahan
Hum bhi apne shehzaade hain
Humein khwaab waab nahi aate hain
Hum bhul gaye hai sara kuch
Ab yahi humari baatein hain
Ab bharne lage zakham hain
Aur zinda yeh kalam hai
Aur likhne wale hum hain haan ji haan
Har koi ab sanam hai
Aur dard bhi thode kam hain
Ab rotey nahin hum hai haan ji haan