Woh Lyrics by Murtaza Qizilbash
Panahon mei, raat ki khamosh aahon mei
Hawa chalnay lagay aur zulf lehraye
Uski adaa mein na jaane hai kaisa nasha
Woh aaye saamnay aur jaan le jaaye
Hai uske kaanon mei jhumkay gehnay
In aankhon ke kya kehne
Shaidaa inka mein ho gaya
Aur uski payal ki chhan-chhan, chhan-chhan
Rijhaye dil ki dharkan
Woh mere jeenay ki wajah
Kya hai yeh mera bharam?
Ya uski nazar-e-karam?
Na jaanay kyun
Saansein meri na chalein
Jaane kyun
Shaamein kabhi na dhalein
Khud se ho jaaye, bekhabar
Karde jo hum pe woh nazar
Na jaane kyun
Woh hum se chura le humein
Pal do pal ki saanson mei reh jaayun
Sochta hoon par keh na kabhi paaon
Mein dil ki woh batiyaan
Yeh guzri hui ratiyaan mein seh jayun
Haan, pal dou pal ka aashiq toh mein thehra
Mein bhool gaya woh haseen chehra
Woh beeti hui sadiyon ki behti hui nadiyon mei beh jaaon
Jab uski aankhon se behta kaajal
Karay iss dil ko pagal
Kesi mujh pe hai yeh saza?
Aur uski kaali zulfon ke saaye
Se mera dil sharmaye
Mein toh ho jaun ga fana
Ashkon ki dhaaron mei hum
Kaise samaiten yeh gham?
Na jaanay kyun
Saansein meri na chalein
Jaane kyun
Shaamein kabhi na dhalein
Khud se ho jaaye, bekhabar
Karde jo hum pe woh nazar
Na jaane kyun
Woh hum se chura le humein
Oh-ho-oh-ho
Ho-oh-oo-oh
Ho-oo-oho-oh